हज़रत-ए-सिद्दीक़-ए-अकबर सारी उम्मत के इमामदम-ब-दम मेरी तरफ़ से उन की ख़िदमत में सलाम
अपने घर का सब असासा पेश कर के यूँ कहाया नबी ! बाक़ी रहे अब आप और रब्बुल-अनाम
अपने घर का सब असासा पेश कर के यूँ कहाया नबी ! काफ़ी हैं मुझ को आप और रब्बुल-अनाम
सब से बढ़ कर हैं फ़ज़ीलत में वो बा'द-ए-अम्बियाहै गवाह इस पर यक़ीनन हर मुसलमाँ ख़ास-ओ-'आम
हज़रत-ए-फ़ारूक़-ए-आ'ज़म और ज़ुन्नुरैन केबल्कि हैं हर तौर वो मौला 'अली के भी इमाम
मुस्तफ़ा के 'इश्क़ का हक़ ऐसा पूरा कर दियाहो गया अल्लाह राज़ी और आक़ा-ए-अनाम
वो 'इबादत और इता'अत में थे सर-गर्म-ए-'अमलउन की सीरत सीरत-ए-अहमद का नक़्शा बा-कमाल
वो ख़िलाफ़त-ए-राशिदा के सर के ऐसे ताज हैंहर कोई करता है झुक कर उन की अज़मत को सलाम
नक़्शबंदी सिलसिले के शैख़-ए-अव्वल हैं वोहीऔर रसूलुल्लाह के पहले ख़लीफ़ा-ए-मुराम
ख़ल्क़ के सरदार ने सरदार-ए-उम्मत कर दियाकर दो, सरदार ! इस पे अपनी गुफ़्तुगू का इख़्तितात
ख़ल्क़ के सरदार ने सरदार-ए-उम्मत कर दियाकर दो, ए सरदार ! इस पर मन्क़बत का इख़्तिताम
hazrat-e-siddiq-e-akbar saari ummat ke imaamdam-ba-dam meri taraf se un ki KHidmat me.n salaam
apne ghar ka sab asaasa pesh kar ke yu.n kahaya nabi ! baaqi rahe ab aap aur rabbul-anaam
apne ghar ka sab asaasa pesh kar ke yu.n kahaya nabi ! kaafi hai.n mujh ko aap aur rabbul-anaam
sab se ba.Dh kar hai.n fazeelat me.n wo baa'd-e-ambiyahai gawaah is par yaqeenan har musalmaa.n KHaas-o-'aam
hazrat-e-faarooq-e-aa'zam aur zunnurain kebalki hai.n har taur wo maula 'ali ke bhi imaam
mustafa ke 'ishq ka haq aisa poora kar diyaho gaya allah raazi aur aaqa-e-anaam
wo 'ibaadat aur itaa'at me.n the sar-garm-e-'amalun ki seerat seerat-e-ahmad ka naqsha baa-kamaal
wo KHilaafat-e-raashida ke sar ke aise taaj hai.nhar koi karta hai jhuk kar un ki azmat ko salaam
naqshbandi silsile ke shaiKH-e-awwal hai.n wohiaur rasoolullah ke pehle KHalifa-e-muraam
KHalq ke sardaar ne sardaar-e-ummat kar diyakar do, Sardaar ! is pe apni guftugu ka iKHtitaam
KHalq ke sardaar ne sardaar-e-ummat kar diyakar do, ai Sardaar ! is par manqabat ka iKHtitaam
केवल उपलब्ध श्रेय दिखाए गए हैं; अनुपलब्ध जानकारी का अनुमान नहीं लगाया गया।